Saturday, 2 January 2016

Mera Astitva

Main janmi lekar lakshmi ka roop,
Maa ki godh bhari,
Pita ji ki maan bani.
Par mera Astitva kahi chip gaya.

Waqt guzra lekar,
Mera naya janam.
Bani ardhaangini,
Chali nibhane saare kartavya
Par mera Astitva kahi dab gaya.

Fir waqt chala lekar kandho par pankh,
Hua ek aur naya janam.
Janani bankar chali mamta ka sagar lootane,
Khushiyaa aayi fir aangan mein.
Par mera Astitva kahi chut gaya.

Abh hu mukt sabhi rishto se,
Sabhi kasmo, sabhi rasmo se,
Abh vada kiya hai khudse,
Poora karungi har sapna,
Jo kabhi baccpan mein tha mera apna.
Abh banungi apna Astitva, apni pehchaan se.